Koi junoon yun sawaar hua hai aaj mujh par
ke rom rom mein nayi umang aaj gayi hai bhar
ek junoon kuch ban dikhane ka
Ek junoon kuch haasil karne ka
ek junoon khud ko pehchaanne ka
aur...
Ek junoon apne astitva ko mehsoos karne ka !
Kehte hain ke honi ko koi taal to nahin sakta...
takdeer ka likha koi badal to nahin sakta
Par us kal ko kya kisine dekha hai?
Maine to aaj mein jeena seekha hai !
Ek junoon hai har kadam par haste rehne ka
aur haste hue us manzil ki or badhte jaane ka !
Ek junoon hai in hawao ka rukh badal dene ka
aur apne aaj se kal ki ek nayi neev rakhne ka !
Kyonki wohi hota hai, jo insaan dil se chaahta hai
agar nazariye ko badlein,to nazaara badal jaata hai
Aur aakhir wo koi junoon hi to hota hai
jo hame kuch kar guzarne ka jazba de jaata hai !