Thursday, March 12, 2009

Koi junoon hi to hota hai...



Koi junoon yun sawaar hua hai aaj mujh par
ke rom rom mein nayi umang aaj gayi hai bhar
ek junoon kuch ban dikhane ka
Ek junoon kuch haasil karne ka
ek junoon khud ko pehchaanne ka
aur...
Ek junoon apne astitva ko mehsoos karne ka !

Kehte hain ke honi ko koi taal to nahin sakta...
takdeer ka likha koi badal to nahin sakta
Par us kal ko kya kisine dekha hai?
Maine to aaj mein jeena seekha hai !
Ek junoon hai har kadam par haste rehne ka
aur haste hue us manzil ki or badhte jaane ka !
Ek junoon hai in hawao ka rukh badal dene ka
aur apne aaj se kal ki ek nayi neev rakhne ka !

Kyonki wohi hota hai, jo insaan dil se chaahta hai
agar nazariye ko badlein,to nazaara badal jaata hai
Aur aakhir wo koi junoon hi to hota hai
jo hame kuch kar guzarne ka jazba de jaata hai !

Sunday, March 8, 2009

Who am I? Ah..that's what I'm searching for!


Who am I .... I kept asking myself
first came my name
but if my name were something else,
wouldn't I still be the same?

Who am I...I kept asking myself
I said I'm a doctor
But that is just my profession
And it's nothing but a posession

Who am I...I kept asking myself
I said I'm a female
But feminine is just my look
and again my head I shook

Who am I... I kept asking myself
I said I'm a human
but birth and death is a cycle
and a human now...can be something else later.

Who am I...I kept asking myself
I was searching for that something
which wouldn't change with anything
I kept asking myself
I kept asking myself untill there was no further reply
there was a dawn of silence
a silence wherein I was thinking
just abt myself...all about myself
deep deep inside...still deep inside
there was just silence and me
just silence and me
just silence and me

In this silence...I'm still searching
And I'll keep on searching within
for an answer that has been
all that I have always been.

Friday, March 6, 2009

Meri manzil


Khwaabon mein...manzilon ko
maine paate hue dekha hai
Kisko pata...us rab ne mere
In haathon mein kya kya likha hai!

Mushkilein abhi to kai hain
Fir bhi...mujhe yakeen hai
Milega mujhe bhi mera aashiyaan
Khilega mere khwaabon ka gulsitaan

Aaahahaa.....meri manzil
Hai wohi...jismein shaamil
Sabhi ki hasi...haan sabhi ki khushi
Har taraf chaai ho ek pyaari madhoshi
Har kisi ke marz ki dawa mere paas ho
Aur gaaye jahan jhoomke mera dil

Hakeekat mein....manzilon ko
maine paate hue dekha hai
mujko pata...us rab ne mere
in haathon mein kya kya likha hai..!