Tuesday, August 5, 2008

Happy birthday 'Maitrin'


I had scribbled this in my 3rd MBBS when I had a tiff with my close friend over a sensitive issue. The 2 & 1/2 year friendship shattered within seconds...and we remained as mere batchmates the rest of graduation days. But then it is said, true friends never part...and believe me...even today when I speak to her, I feel as close to her as I had felt, when we were together. Love you always...'Maitrin'!
Yeh rishte bhi bade zaalim hote hain
Kabhi hasaate, to kabhi bada rulaate hain
Kya tha insaan jab aaya tha zameen par?
Akela hi to tha is poore aashiyaan par!
Phir kyun milte hain log bichadne ke liye?
Kyun bante hain rishte tootne ke liye?
Aakhir kasoor kiska tha?
Mera tha...ya uska tha?
Yeh sochte sochte samay nikal jaata hai,
Woh rishta bante banaate phir toot jaata hai!
Aisa hi kuch hua hai mere sath bhi
Kuch dhaage toote hain..bas abhi abhi
Sochti hun main...to mann bhar aata hai,
Mann ka dard...aankhon se boond bankar bah jaata hai!
Kitne pyaare the wo pal,
jab hum the sang har pal...
Saath mein jaana...saath mein aana,
Saath mein hasna...sath mein rona!
Phir aayi woh kaali raat..
jis pal kahi thi tumne woh baat.
Sun kar yeh dil toota kuch aise...
laga phir kabhi na jud payega jaise
Phir bhi dil ne chaaha tha tumhe
to phir kaise bhool paata wo tumhe
Mann karta hai phir baatein ho...
Kya meri hi tarah...lagta bhi hai tumhe?

No comments: