Thursday, August 7, 2008

Rishton ki boondein !


Bijli ki yeh kadkadahat
Boondon ka yeh barasna
Aai hai phir baarish
Jhoomke sabka yeh kehna.
Dharti ki yeh khushboo
Mann ko moh jaye
boondon ki yeh rimjhim
kaanon ko choo jaye
Mann chahe kisi apne ka sath
Bheegne ke liye, thaamke hath
Par koi nahin hai mera yahan
jiske sang choolun main aasmaan
Kitne zaalim hote hain yeh rishte
Pal bhar mein milte, phir bichad bhi jaate
In boondon ki tarah hi woh bhi
Aake haathon mein,kahin phir choot jaate!
Bhatakte hain hum, aise apno ke liye
Jo sath de hamara, hamesha ke liye.
Beshaq mil to jaate hain kuch apne aise,
Par kai aur pyare rishte...peeche chod jaane ke liye!

No comments: